Tuesday, June 03, 2008

Aawargi



Aawargi ke nashe main chur chale hai rahoo par

Suni galiyon ko roshan kiye ja rahe hai


Jo khali khali kona daba hai seene main

Usake band darwajoo pe dastak diye ja rahe hai


Khawaishe Dafnaye rakhi thi jo barason se


Un par padi padi mitti ko halke kiye ja rahe hai


Aane ko hai wo mousam baharon ka najaroon ka

Esi chahat main ujaad din khul ke jiye ja rahe hai


Samjhe nahi tohafe main gam mila ya khushi

Bas har lamhe ko daman main liye ja rahe hai


Aawargi ke nashe main chur chale hai rahoo par

Suni galiyon ko roshan kiye ja rahe hai