Monday, February 19, 2007

wo chand !!




Kal rat chand khidki se batiya raha tha
Lakho taro ke bich tanha nazar aa raha tha

Mujhe apne sang duniya ghuma raha tha
Meri sunkar kuch apni suna raha tha

Chandani bhini bhini si barasa raha tha
Kisse kahaniya gadhe ja raha tha

Ankhon me sapne bhare ja raha tha
Lori sunakar thapakiya diye ja raha tha

Batoon batoon me fasla ghata ja raha tha
Milo door ka aasma karib aa raha tha

Achanak wo roshni mattham kiye ja raha tha
Ek nayi subah ko jindagi diye ja raha tha

Sunday, February 11, 2007

Ek pal tanhai me ...

Barso chalte rah hai taptapati dhoop me,
Apana ask dekha nahi kabhi parchai me

Bulandio ko choone ka nasha tha is kadar,
Socha nahi kuch daba hai gaharai me

Patthar dil ban gaye the jamane ko dekhkar,
Ek aansoo bhi na bahaya ruswai me

Manzil ko badte kadam thame nahi kabhi,
kabhi thahare nahi ped ki tarai me

Jaldi me the ham ya waqt thahara nahi,
Bitaya nahi kabhi ek pal tanhai me

Sunday, February 04, 2007

He sath khuda


Tanhaiyo ki bate karate rahe sabhi
Pahali bar ham gufatgu me shamil na the

Soch rahe the kaha chupa betha tha khuda
Ya ham hi use mahasos karne ke kabil na the

Wo to har kadam mere sath chal raha tha
Manzil thodi dor thi par raste mushkil na the

Uske bharose chal pade the anjan raho par
Kashti mudi nahi un laharo par jinke sahil na the

Andhero ko apna mukkadar samjhane lage jab
Roshani ne muskurakar kaha ham usake katil na the

He sath khuda to har jang fatah honi hai
Pa jayenge wo muka bhi, jo ab tak hasil na the