Tanhaiyo ki bate karate rahe sabhi
Pahali bar ham gufatgu me shamil na the
Soch rahe the kaha chupa betha tha khuda
Ya ham hi use mahasos karne ke kabil na the
Wo to har kadam mere sath chal raha tha
Manzil thodi dor thi par raste mushkil na the
Uske bharose chal pade the anjan raho par
Kashti mudi nahi un laharo par jinke sahil na the
Andhero ko apna mukkadar samjhane lage jab
Roshani ne muskurakar kaha ham usake katil na the
He sath khuda to har jang fatah honi hai
Pa jayenge wo muka bhi, jo ab tak hasil na the
4 comments:
good going!!!
pa jayenge woh muka bhi jo kabhi hasil na the........
rocking line!!!
Aaameen...
Zaroor payenge manzil jiska khayaal hai kiya.
Chahe saath na ho kismat ya na ho saath khuda ne diya.
Har baar aage badhne ki koshish hi hame aage le jaayegi. Bas lage raho
Good one.
andhero ko apna mukkadar... stanza is amazing..very very well written..
"khud ko kar nuland itna ki khuda khud bande se pooche, bata teri razza kya hai"....;)
khudi ko kar buland itna ki khuda khud bannde se pucche, batta teri razza kya hai!!!
khuda ke aahosh mein
khoo jao musafir...
khoona hai to
wahan kho
jahan koi dhund naa paaye
bulandi ki gehrayion me kho kho sakta hai to...
Post a Comment