Safed kapado me lipti wo suli par latak rahi thi
jisase hame darna tha
Cham cham payal hamare pero par wo baja rahi thi
jisase hame darna tha
Mera hath thame mout ke kue me wo le ja raha tha
jisase hame darna tha
Kale pardo ke piche chupe the wo daravne chehare
jisase hame darna tha
Kali kabar ke kisi kone me soyi thi wo zinda lash
jisase hame darna tha
Andheri gufa ki uchayi par lataka tha wo khokhla sharir
jisase hame darna tha
Kono ke parado me cheekh rahi thi wo anjan awaze
jisase hame darna tha
Dararo aur surakho se jhoor rahi thi wo chamkati aankhe
jisase hame darna tha
Badi bhayawah lagani thi wo andheri gufa ki deeware
jisase hame darna tha
Khilkhila rahe the apne ander kahi chupe us dar par
jisase hame darna tha
3 comments:
Hame kabhi pata nahi chalega aapko kisse darna tha...
hum to vahan moujood nahi the
na hame bataya gaya tha...
Hamare liye to darna hi mana tha...
Lekin hum to wahan moujood the lekin hame bhi dar nahi laga ha humari Das aur Sree jaroor dar rahee thi.
Wo jagah daravani na ho kar majakiya lag rahi thi.
kyu dar rahi hai tu? aisa kuch nahi hai jisse hamen darna tha....
thik hai.
hamesha dil main ek waqt main ek hi cheez rehti hai ya toh DAR ya VISHWAS.
choice is yours kise rakhna hai..
isi liye hum kehte hai darna mana hai...
Post a Comment