Kahi chat thi, Deewaroo dar the kahi, mila mujhe ghar ka pata der se
Diya to bhut Zindagi ne mujhe, par jo bhi diya wo diya der se
Hua na koi kam mamul se, Gujare shabo-roj kuch is tarah
Kabhi chand nikal galat wakt par kabhi ghar me suraj uga der se
Kahi ruk gaye rah me be-sabab, kahi wakt se pahale ghir aayi shab
Hue band darwaje khul khul ke sab, jaha bhi gaya me gaya der se
Yah sab ittifakat ka khel hai, yahi hai judai yahi mail hai
Hum mud mud ke dekha kiya door tak , bani wo khamoshi sada der se
Saja din bhi, roshan hui rat bhi, bhare jam lahrai barsat bhi
Rahe sath kuch aise halat bhi, jo hona tha jaldi hua der se
Chupa tha kahi bhid me aadmi, hua mujhme roshan khuda der se
(courtesy Nida Fazli)
4 comments:
Waqt...kahte hai 'Time is the best healer'... der se hua par hua to sahi...
Better late than never..
Awesome...
Just came to your page through reema, it was nice one, but took very long to read it, why dont you try writing in hindi. I mean hindi font, once you get used to it, that would be great..:D
are der hi sahi sab kuch mila toh. aur bhi hai dunia main waqt ke mare, kuch na mila jinhe yuhi rote rahe bechare.
good one yar!!!
nida fazli sahab inke aage no words!!!
Der se Fazli saheb ka har lafz zindagi se mukhatib karata hai isme.
Thank you to bring out this precious dimond from archieves.
Post a Comment