Wahi safar wahi kanrawa, bilkul wahi hai ranhe bhi
Phir kyo manzil kanhi gumshuda ho gayi hai
Wahi chand wahi chandani, taaron ne bikhari hai wahi roshani
Phir ye rat kyo khamosh chupchap so gayi hai
Wahi nazaare wahi diwarain, mahakti hai wahi khushboo ab bhi
Phir kyo fiza se sadagi khafa ho gayi hai
Wahi dhoop wahi roshani, pairon tale ki zamin hai wahi
Phir kyo apani parchayi ajanabi ho gayi hai
Wahi jism wahi jaan , wahi rooh hai ham ab bhi
Phir kyo jane ye zindagi juda ho gayi hai
Wahi mukaan hai ye wo shayad jo khawaboo me tha
Phir kyo ise pane ki khushi dhundali ho gayi hai
Wahi thama hai kal wahi hai hamara aaj bhi
Shayad ham hi hai jo waqt se aage bad gaye hai