Wahi safar wahi kanrawa, bilkul wahi hai ranhe bhi
Phir kyo manzil kanhi gumshuda ho gayi hai
Wahi chand wahi chandani, taaron ne bikhari hai wahi roshani
Phir ye rat kyo khamosh chupchap so gayi hai
Wahi nazaare wahi diwarain, mahakti hai wahi khushboo ab bhi
Phir kyo fiza se sadagi khafa ho gayi hai
Wahi dhoop wahi roshani, pairon tale ki zamin hai wahi
Phir kyo apani parchayi ajanabi ho gayi hai
Wahi jism wahi jaan , wahi rooh hai ham ab bhi
Phir kyo jane ye zindagi juda ho gayi hai
Wahi mukaan hai ye wo shayad jo khawaboo me tha
Phir kyo ise pane ki khushi dhundali ho gayi hai
Wahi thama hai kal wahi hai hamara aaj bhi
Shayad ham hi hai jo waqt se aage bad gaye hai
6 comments:
don't worry sare mausam phir aate hai. kuch samay badlta hai phir wapas aata hai.
nice poem simple words but deep thinking.
great
stop for a brief moment and smell the roses...
humein yakeen hai mohtarma saahiba, aapke darwaaze par aur haseen mausam khushiyaan le aayengi...
Wowwwwwwww.... grt basanti.. very nicely written one. A very good peom..only the problem is with the color of the fonts..otherwise it's too gud...
Main bhi wahi kahoonga jo auro ne kaha hai nice and simple words but very deep thoughts.
keep it up.
Lagta to yahi hai ki sab kuchh badal gaya hai lekin asliyat to yahi hai ki hum badal chuke hain aur ye baat to jag jahir hai.
I second what cosmos said, kuch bhi nahi badalta, hum hi badalte hai!
Change is the only constant, things dont change, people do!
Post a Comment