Baadlo main jane kaise chup gayi thi chandani
Tare the jo raat bhar ye aasma damka rahe
Har lahar ke sang maano dubati ho roshani
Thik usi pal ek aur katra bulbule le aa rahe
Thodi jo gharayi raat ye bhi natkhat ho chala
Goud main soyi roshani se atkheli karta phire
Har machalati dhaar ko chooti hai kuch yu pawan
Thande pade saagar main ek chingaari sulgaati chale
Koi batalaye to zara poochkar isase mujhe
Kis nashe main raat bhar ye be-khouf lahlahati rahe
Shabnamo ki barisho se bhigta rahe daaman yunhi
Har lahar ki raagini bas kano main gungunati rahe
Atak jaye kahin palanko ke beach main hi ye samaa
Aankh khule jab bhi, in palon ki yaad mahakati rahe