Baadlo main jane kaise chup gayi thi chandani
Tare the jo raat bhar ye aasma damka rahe
Har lahar ke sang maano dubati ho roshani
Thik usi pal ek aur katra bulbule le aa rahe
Thodi jo gharayi raat ye bhi natkhat ho chala
Goud main soyi roshani se atkheli karta phire
Har machalati dhaar ko chooti hai kuch yu pawan
Thande pade saagar main ek chingaari sulgaati chale
Koi batalaye to zara poochkar isase mujhe
Kis nashe main raat bhar ye be-khouf lahlahati rahe
Shabnamo ki barisho se bhigta rahe daaman yunhi
Har lahar ki raagini bas kano main gungunati rahe
Atak jaye kahin palanko ke beach main hi ye samaa
Aankh khule jab bhi, in palon ki yaad mahakati rahe
12 comments:
Hmmm... Poetess sahiba.. bahut kuch keh gayi hai aap is blog main.. kuch baatein hai joh lafzon main na keh kar.. sirf aankhon se bayan hoti hai.. Kehte hai sab log yahan .. bahut kam ki hi baat samajh main aati hai.. raat jarur chuti hai logon ko.. par raat main kuch log hi chu pate hai..
@ mystupendoussalvation:
Oye dirty mind! Dimag dhokar aa ;)
Kya baat hai......yadoon mein rehne ki aisi guzarishhhhhhhh...........good work.
quite a serious one...but unbeatable language boss....
Miss Desire, in kavitaon ko papers mai kab publish karengi aap?
@Vicky's world:kuch yaade hoti hi itni kimati hai yaar
@Rashmi: aapka samachar patra to chapega nahi mohtarma (hindi jo hai..:-))to yanhi rahne dijiye
Good one, but kuch jerks hain.
Koi batalaye to zara poochkar isase mujhe
Kis nashe main raat bhar ye be-khouf lahlahati rahe
Raat ko nashe me bekhouf to main bhi jaar raha tha lekin tune aakar rok liya ;)
Really beatiful and mesmerizing lines. These are the lines which my heart has cocooned in. keep mesmerizing me :)
@comman man:dont worry as long as u r around, i promise lines like these will never die :)
include "mind.h"
include "knowledge.h"
main()
{
char bothmix[];
char n[]= "nice thinking";
char w[]="good wording"
clrscr();
bothmix[]=n[]+w[];
printf("poem=%s",bothmix);
getch();
}
OUTPUT:
poem=great poem
@ Ravi: Mujhe sirf last line samjh main aayi :P
this one seeems like your unconscious talking...the conscious is lost somewhere else...baat kya hai...aap kabse pahelia bhujaane lagi???
:P
ossum poem..came after long time.
Post a Comment