Sunday, July 15, 2007

Meri Nishaniya..





Karodo ki bhid me khojati hoo khudako

To kuch nishaniya sujha deti hoon


Tez hawao ka rukh modana lagta hai jab mushkil

Panchi ko dekh sanhas jaga leti hoon


Darti hai jab bhi aankhe band hone se

Chupake se ek naya sapana saza leti hoon


Ufanati hai nadi jab aankho se bahane ko

Ek bar phir halke se muskara leti hoon


Har ke war se hathash ho jati ho jab bhi

Nayi Koshish ka ek deep jala leti hoon


Karodo ki bhid me khudko khojati hoon jab

To kuch nishaniya sujha deti hoon



Wednesday, July 04, 2007

Jab Ham ..


Bejaan diwaroo se batiyate hai

Aur Taswiro ko hakikat banate hai

Jab ham apane ko akela pate hai


Badalo me nakshe banate hai

Aur patthro ko kahani sunate hai

Jab ham apane ko akela pate hai


Thahare pani me chap chap bajate hai

Aur bin bat yu hi gungunate hai

Jab ham apane ko akela pate hai


Chand ke piche piche jate hai

Aur tare gin gin kar bhool jate hai

Jab ham apane ko akela pate hai


Koshish karte hai chup rahane ki

Aur chuppi se ghabrate hai

Jab ham apane ko akela pate hai


Rahathe hai isi duniya me

Aur khudko dusare jaha me paate hai

Jab ham apne ko akela pate hai