Karodo ki bhid me khojati hoo khudako
To kuch nishaniya sujha deti hoon
Tez hawao ka rukh modana lagta hai jab mushkil
Panchi ko dekh sanhas jaga leti hoon
Darti hai jab bhi aankhe band hone se
Chupake se ek naya sapana saza leti hoon
Ufanati hai nadi jab aankho se bahane ko
Ek bar phir halke se muskara leti hoon
Har ke war se hathash ho jati ho jab bhi
Nayi Koshish ka ek deep jala leti hoon
Karodo ki bhid me khudko khojati hoon jab
To kuch nishaniya sujha deti hoon
5 comments:
Wah...
Bahut achchi kavita hain yeh:)
Nice
jab bahut bore ho jaati hoon, to tumhara blog padh leti hoon!!
brilliant...aur kuch nahi kahungi..
nishaniyan bhi kahi gumnaam sangmarmar par tarasha hai
unhe apne nazmo ki lakiron mein bhula deta hoon
jo aksar reh jaati hai nishaniya-e-kaafir
to un par likhi ibaaraton mein khood ko dohra leta hoon
mohtarma ham to aapke kaayal ho gaye hai..huzoor kuch to nahi hai hamaare paas zara nawaazi ke liye..ye beswaad nazm ki panktiyan hi aapke khidmaat mein pesh kar diya hai..kubool karein ;)
Har ke war se hathash ho jati ho jab bhi
Nayi Koshish ka ek deep jala leti hoon
nice lines "it reflect your attitude & selfconfidence"
so good keep going
waah waah...waah waah...
khoob kaha, mohtarma sahiba...
:)
Post a Comment