Wednesday, June 17, 2009


Waqt ne aisi pheri ungliya gili ret par
har lahar ke sath mera Naksh badlata raha



Komal kabhi, kabhi malin kutil sa kahi
Kadam kadam par naya saya mujhe milta raha


Ek shikhar, ek kann hun ya thokaro ki dhul mein
Nit nayi pahchaan se hi man mera ladta raha



Saaf ukarin tasviron se mil raha sagar kuch yun
Aks mera hole hole maati main khota raha



Dhun main apni madmast tha kuch yu samaa
Chode bina nishaniya meri bas aage badta chala
Bas aage badta chala









Wednesday, April 01, 2009


Baadlo main jane kaise chup gayi thi chandani
Tare the jo raat bhar ye aasma damka rahe


Har lahar ke sang maano dubati ho roshani
Thik usi pal ek aur katra bulbule le aa rahe


Thodi jo gharayi raat ye bhi natkhat ho chala
Goud main soyi roshani se atkheli karta phire


Har machalati dhaar ko chooti hai kuch yu pawan
Thande pade saagar main ek chingaari sulgaati chale


Koi batalaye to zara poochkar isase mujhe
Kis nashe main raat bhar ye be-khouf lahlahati rahe


Shabnamo ki barisho se bhigta rahe daaman yunhi
Har lahar ki raagini bas kano main gungunati rahe


Atak jaye kahin palanko ke beach main hi ye samaa
Aankh khule jab bhi, in palon ki yaad mahakati rahe