Sunday, November 05, 2006

Mann hai

chamchamati roshni me kho jane ka mann hai,

samndar ke bawandar me doob jaane ka mann hai,

seep se moti chunne ka, khadano se hira dhondane ka,

andhero me kho jane ka, ajubo ko janne ka,

rahasyo ko suljhane ka mann hai

ek naya asma pane ka, ek nayi dharti basane ka mann hai

apno ke ho jane ka, sapno me kho jane ka

ek nayi duniya me jine ka, navras ko har pal pine ka

asma ke upar jane ka aur usko jami par lane ka

ghanghor biyawan me sone ka, nadiya ke sang bahne ka

suraj ke har ark ko sametne ka mann hai

barf ki tajgi ko, pani ki chanchalta ko ,

pahado ki khamoshi ko pane ka mann hai,

najuk bulbulo ko hatho main chupane ka ,

pani me chap-chap bajane ka mann hai,

jis aachal me simte ye sab kuch,

us aachal ko apne banane ka mann hai..

3 comments:

Ree said...

teeny weeny life, so much to do...sweets, ur right...bahut kuchh karne ka mann hai

Me Thinks.. said...

badhiya hai! oh i mean very well written, aapne hindi mein comment karne ko mana kiya tha.. bhool gayi.. anyway i like the bulbul part, very cute!
So anyone joining bhavna fans community?!

mystupendoussalvation said...

Badhiya hai!!!!!!!! Bhavna Babu! hey awesome ab hamara bhi jee karta hai ki aapko bahut badhiya den is poem ke liye VERY GOOD ! Lage Raho Munnabhai!
Jai Hind Jai Gandhigiri! Jai Ho Sapno ki!