Sunday, May 13, 2007
khamosh patthar ...
Shor machati laharo ke beech khamosh betha patthar
Jo laharo ka war chup-chap sahata aaya tha ab tak
Mujhse kuch kahani kahata hai
Aati jati lahare machati hai aatank kitna...
Uthati hai hazaroo tufaan uske bhi mann me
Ye baat jubaani kahata hai
Jab bhi duboota hai khud ko aansuo ke khare paani se
Zamana samjahta hai ki jwaar bhata hota hai
Usake patthar dil hone ki charcha karta hai chappa chappa
Par dard usake bhitar bhi sisak sisak kar rota
Wo khamosh patthar mujhse ye kahani kahata hai
Musibato ko gale lagakar jina mushkil to hota hai
Par ab in musibatoo ke bina use khali khali sa mahsoos hota hai
Gamo ki barish se sarobar hai wo is kadar
Ki ab khushi ke mouke par bhi wo ji bhar ke rota hai
Wo khamosh patthar mujhse apni kahani kahata hai
Beeti us par jo ab tak wo baat jubani kahata hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
3 comments:
great lines, has lots of depth in it.
Keep up the good work.
cheers!!!!
ek pathar ke baare mein shayad sirf tum hi likh sakti ho!
Ek baar phir pooch rahi hu, tumhara naam nothin within ktyun hai?
itna sab kuch hai tumhare undar,
everything within hona chahiye! ;)
shor ke ghere mai hai khamosh tanhai[wo patthar]
apni hi mahfil mai hai kud ruswa
ruswai[lahro ke bich patthar}
lavoo par khamoshi ne dera dala hai[jo wo kuch nahi kah sakta]
girte hua har ashk ko snnate ne samhala hai[jo tumne us patthar ki aawaj suni]
tumne ek patthar ke rup mai har kisi ke dard ko pahchana hai
which is so rear 'great'
keep going on
Post a Comment