Tuesday, May 01, 2007

Tees...


Sadko par nange badan bilakati hai zindagi
Aur aag ugalati dopahari me peir jhulsati hai zindagi
Antoo ko chamadi se chipakaye soti hai zindagi
Aur kankad ki dheri me anaj ki aas khojati hai zindagi

Ek roti paane ko hazaro bar siskati hai zindagi
Aur rukhe tukade ko pani se bhigokar nigalati hai zindagi

Sade gale kachare ki goud me janamati hai zindagi
Aur zaharile dhue me saans lakar panapati hai zindagi

Roz mar mar kar seene me tees uthati hai zindagi

Har lamha markar bhi aur jine ki chahat jagati hai zindagi





4 comments:

Vicky's world said...

gr8 lines!!!
dil main tees si uthti hai.

try and write it in hindi jyada impact hoga.

keep up the good work.

Me Thinks.. said...

Last two lines say it all!
itna sab kuch sikhaati hai zindagi..
hum hi hai jo kabhie kabhie samajh nahi paate...
this is "the only way you know that life is like that!" ;)

Cosmos said...

Zindagi, kya kahti hai aur kya nahi main to abhi tak yahi dhoondh raha hoon. Lekin ye chahti kya hai "Mehnat karne walon se mehnat aur Aaraam karne walon se aaraam"

Anonymous said...

i think moral of the poem [b]"LIFE LIKE A BATTLE FEILD" [/b]& it is the truth of life jo tumne itni gaharai
se socha your thinking is so great
keeo going on