Monday, November 03, 2008

Nishaan



Kaha Chod aanyi chanchanati payal wo..


Ab Dabe paanv Chalati hai zindagi



Dishaao se puchaa karti thi pata


Binaa sahil ke nishaan badati hai zindagi



Churati thi rang nazaron se sitaron se


Kiranoo ke kisi jhurmuth main gum hone lagi hai zindagi



Duboyi thi ungliyaan jis Chahat ki rangat main


Us khushaboo ki mahak khone lagi hai zindagi



Pichali barish main janha giri thi kuch bunde


Usi sukhe kue main jivan ki aas talashati hai zindagi..

Sunday, September 28, 2008

Zindagi.... Ek Saans


Zindagi....ek saans ek aas


Dhundhale ho rahe hai jo is nisha raston ke manzilon ke
Thamkar Palbhar ek nazar ji bhar dekh lene do...


Soone sa damka rahi hai jo is kore paani ko
Ek ghunt us roshani ka pi lene do...


Machalati hai jo halchal karti in leharon main
Bas ek lamha us aawaraa masti main ji lene do...



Khamosh patthar baatain karate hai jis tarah ek duje se
Unhi bolati khamoshiyon main guftugu karane do...



Hatho main bharkar dhoop liye ja rahi jo saanjh
Ek mutthi un kataron se roshan janha kar lene do...



Kya jaane kab ruk jaaye in saanson ka karawaa
Thamkar hath is pal ka ek saans main zindagi ji lene do ...

Is ek saans main puri rukakar zindagi ji lene do

Tuesday, June 03, 2008

Aawargi



Aawargi ke nashe main chur chale hai rahoo par

Suni galiyon ko roshan kiye ja rahe hai


Jo khali khali kona daba hai seene main

Usake band darwajoo pe dastak diye ja rahe hai


Khawaishe Dafnaye rakhi thi jo barason se


Un par padi padi mitti ko halke kiye ja rahe hai


Aane ko hai wo mousam baharon ka najaroon ka

Esi chahat main ujaad din khul ke jiye ja rahe hai


Samjhe nahi tohafe main gam mila ya khushi

Bas har lamhe ko daman main liye ja rahe hai


Aawargi ke nashe main chur chale hai rahoo par

Suni galiyon ko roshan kiye ja rahe hai


Friday, April 18, 2008

Ulajhan..








Ulajhi Padi hai jo gutthiya zindagi ki



Mann Karta hai uski har ek gaanth khol doon,




Palkon kee aut se jhankataa hai roshni ka tukada, Jo koi


Band aankho ke darawaze unke liye khol doon,



Begaani si dhun jo khanakati hai hardam kanoo main


Sajaakar suroon se use, bana koi geet anamol doon,



Bujhi bujhi gumsum si hai jo saanjh ki dehri


Natkhat chandani usaki paidhi par dhol doon,



Bhataki hai jo khushi talash main rastoon ki manziloon ki


Hath tham kar usko raahon par moud doon,



Ulajhi Padi hai jo gutthiya zindagi ki


Mann Karta hai uski har ek gaanth khol doon,




Friday, March 21, 2008



Wahi safar wahi kanrawa, bilkul wahi hai ranhe bhi

Phir kyo manzil kanhi gumshuda ho gayi hai

Wahi chand wahi chandani, taaron ne bikhari hai wahi roshani

Phir ye rat kyo khamosh chupchap so gayi hai

Wahi nazaare wahi diwarain, mahakti hai wahi khushboo ab bhi

Phir kyo fiza se sadagi khafa ho gayi hai

Wahi dhoop wahi roshani, pairon tale ki zamin hai wahi

Phir kyo apani parchayi ajanabi ho gayi hai

Wahi jism wahi jaan , wahi rooh hai ham ab bhi

Phir kyo jane ye zindagi juda ho gayi hai

Wahi mukaan hai ye wo shayad jo khawaboo me tha

Phir kyo ise pane ki khushi dhundali ho gayi hai

Wahi thama hai kal wahi hai hamara aaj bhi

Shayad ham hi hai jo waqt se aage bad gaye hai