sukhe pade ped se tapak rahi hai bunde is tarah
mano barso bad use ansu bhane ko mila hai
hariyali kabhi uske sath atkheliya karti thi
ye virana na jane kis gustakhi ka sila hai
pahadi par chanchanati hui ye bunde
puchti hai batado ki kis bat ka gila hai
garjte hue ye badal kah rahe hai tumse
bahado jo sagar sa dukh dil me bhara hai
mita do fasle jo bad rahe hai khaiyo se
chup rahne se kya kabhi kuch suljha hai
intjar kiska hai mita do ye shikawe
ke barkha ke din bhi beete ja rahe hai.
2 comments:
Good one i know you have so many amazing poems in your heart, mind and note-book. so bring them out.
keep it up
kuch shabd hi nahi hai kehno ke! Bahut badhiya.. tu bahut zyada achcha likhti hai! Main tho orkut pe bhavna fans community chalu karne vaali hu!!
too good!
Post a Comment